Tum log mnaa lo jashan ab sarkaar hai tumhaari

Tum log mnaa lo jashan ab sarkaar hai tumhaari,
hum logon ki to fikar e insaan se saans hai bhaari,

mubaarak ho tumko ke tumhaara suraj nikaala aaya,
hmaare liye to hai abhi raat andhiyaari ki andhiyaari,
Tum log mnaa lo jashan ab sarkaar hai tumhaari...

tum peeto choro, kaatlion, luteron ki jai ka danka,
hmaara mashihaa kaid hai pardafaash kardi usne gaddari,
Tum log mnaa lo jashan ab sarkaar hai tumhaari...

tum piyo aaj jaam mehngi se mehngi sharaboon ke,
hum se to ghoont paani ki takk halak se naa jaaye utaari,
Tum log mnaa lo jashan ab sarkaar hai tumhaari...

par ek baat sachh hai aur wo baat main keh deta hoon,
noch khaayneg jab tumko ye apne yaad aayegi tab tumehi hmaari,
Tum log mnaa lo jashan ab sarkaar hai tumhaari...

Tum log mnaa lo jashan ab sarkaar hai tumhaari,
hum logon ki to fikar e insaan se hai saans bhaari....