Ameer ka beta

Mere ghar se kuch door
ek ghar hai,
jo hmaare aath kamron,
teen gaadiyon,teen naukron waale
ghar se kahin saada hai,
jimein sirf itne hi
saajo smaan hain ke,
bass kisi tarah
roz ka guzaara ho sake,

aur us ghar mein,
ek ladka rehta hai,
jo ke mera humumar hai,
jo meri tarah hi abhi
baarah saal ka hai aur
mere school ke saamne
ek chote se school mein
meri tarah hi, saatvin
kakshaa mein padta hai.

yoon mera usse koi
waasta nahin hai,
na main use, na wo mujhe
hum mein se koi bhi
ek doosre ko jaanta nahin hai,
aur wo aksar hmaare
ghar ke saamne se
gujartaa rehta hai.

mujhe uske hmaare
ghar ke saamne se gujarne
se bhi koi gilaa nahin,
par mere dilo jaan
tabb dard se
bilbilaa uthte hain,
jab kabhi bhi mere waalid,

khud ghar ke darwaaje
pe jaake, use andhar
aane ke liye kehte hain
apne sab kaam chod ke
usse baate karne laggte hain,
use mohabbat se
apne paas bitha lete hain,

aur usse poochte rehte hain,
kisi cheez ki jaroorat to nahin hai,
aur kabhi kabhi dekha hai
maine wo usko dene liye
pars se paise nikaalte hain,
par wo har baar lene se
inkaar kar deta hai,

aur mera ye bharam ke,
usko kisi cheez ka laalch hai,
har baar toot ke
chakna choor ho jaata hai,
main jitna chaahta hoon
use bhoolna, utna hi
wo mere zehan mein
aur gehra hota jaata hai,
 
maine ammi se kayi baar
shikayat ki hai, ke wo
hmaare ghar kyon aata hai,
abba usko bulaa ke
apne paas kyon bithaa lete hain,
to ammi har baar,
mujhe ye keh ke chupp kra deti hai,
to tera kya leta hai,
tu kyon apna dil dukhaata hai,

par naa jaane kyon
is masle mein kisi ki
koi bhi baat se
mujhe chain nahin aata hai,
main jab bhi use dekhta hoon
mere jee ghabraata hai,
mujhe ek sharmindgi ek zillat
si mehsoos hoti rehti hai,

upar se mera abba ka,
kabhi kabhi akasmaat ye kehna,
mujhe usmein apna beeta hua
kal nazar aata hai,
uski aankhon mein ek ajeeb
si tadap hai, mujhe us mein
ek bada khaab palta huaa
nazar aata hai,

aur ye sab aqeedat bhari baate
sunke, mera ranjj aur bad jaata hai,
mera khoon ubalne laggta hai,
yahan se kahin door nikal
jaaon mera ji chaahta hai,
mujhe kabhi kisi cheez ki
zindgi mein kamin nahin khali thi
par jab usko dekhta hoon
mujhe wo bada ameer aur apna aap
bada gareeb nazar aata hai.