Usne mujhe praaya kiya yoon karke

Usne mujhe praaya kiya yoon karke,
mushkilon mein hote huae bhi mujhse chupaakar ke,

main samajhta hoon ye bhi uski chaahat hai,
ki kisi haal mein bhi wo dekhna na chaahte mujhe fikar mein,

par mere liye ye baat bauhat swaal khade karti hai,
ke kya main kaabil nahin hoon imtihaane Ishq ke,

kya ye jaayez hai main unki khushiyon kaa ikk lamhaa bhi paaon,
jab main nahin thaa jab wo guzre the sehraa e gham se,

main chaahta hoon main bhi pathjad ke mausmon se gujroon,
taan ki sakoon e baahar mein mujhe sharmindgi na lage,

aur phir jab kabhi hum waqt ke panne palat ke dekhein,
kinn tufaano se guzar aaye ye khush ho sakein hum gin ke.

Ponga Pandit

Aaj mere shehar ka wo
sabse mashhoor pandit hai,
kal jise dasvin ke chaar mazmoonon
mein fail hone pe,
logon ne ye kaha thaa,
is saa hamne dekha nikamma nahin,
aur ab wahaan aur sab galat hain
ek usi ka hai rekha ganit sahi.