Yoon agar hasraton ko maarna asan hota,
toh main kab ka khudaa go gaya hota,
tujhse to judaa ho hi gaya hoon,
teri yaad se bhi judaa ho gaya hota...
mere khyaal un raston ki khaak na chaante phirte,
jin se nazar aaye the mukaam meri aarzu ke,
main beh nikalta mast ho ke nadi sa,
jo mil gaya wahi sahi karke waqt se samjautha,
Yoon agar hasraton ko maarna asan hota...
aadhe aadhe se tukdo mein na dhoondta wajood,
roj aine mein dekhta ek shaks poora maujood,
mujhe katron ki yoon naa parwaah hoti,
jo main samandar ke raaste nikal gaya hota,

ye wo bacche hain Jo jigar ka khoon peete hain,
apne ho ke bhi apnon sa naa jeete hain,
inse tod naata chod wafa ki umeedin saari,
kahin aur jaa ke naye sire se bas gaya hota,