Ye zindgi kisi ki amaanat hai

Saans saans chalti hai unki ijaajat,
hum apni  bhi sun nahin sakte,
ye zindgi kisi ki amaanat hai,
koi fainsla khud se kar nahin sakte,
wo chaahange jab tak rehna hoga,
apni marzi se mar nahin sakte.

Safar koi aur manjil koi aur chaahein

Saare galat raston pe khud leke gaye,
ab puchte khan tum ho bhatak gaye,
bade ajeeb log hain is maayanagri ke,
safar koi aur manjil koi aur chaahein.

Kuch aur bhi kaam karo 'jogi'

In baaton ke hwaai kilon ka baajar mein koi daam nahin milta,
kuch aur bhi kaam karo 'jogi', shaayri se choola nahin jalta.

Zindgi mujhe chaahe gumnaam hi kahin dafan kar dena

Zindgi mujhe chaahe gumnaam hi kahin dafan kar dena,
bas shohrat ke liye agar kahin bhatak jaaon to sambhal lena.

Hamesha hasta hi rahoon, main bhi koi butt naa hoon

Fikar na karo, ke aaj kyon giraa diye do aansoon,
hamesha hasta hi rahoon, main bhi koi butt naa hoon.

Mehfil pe abhi koi parda na giraaye

Mehfil pe abhi koi parda na giraaye,
ye sune palon ki tanhaayi sahi na jaaye,

koi jashan ho waahan hamein le chalo,
akele kamre mein aaj jee ghabraaye,

apno ki gadiyon pe waqt koi badal de,
deri ki wajah se koi uthke naa jaaye,

koi baith meri dhadkanon ka geet sune,
koi baith apni bas aaj kehta hi jaaye,

kyon jaroori hai uth ke phir akele hona,
aankh lagne takk to koi saath nibhaaye,

Mehfil pe abhi koi parda na giraaye...

Do tarah ke logon pe koi dawa,koi duaa asar nahin karti

Do tarah ke logon pe koi dawa,
        koi duaa asar nahin karti,
                ek jo theek ho nahin sakte,
                        ek jo theek hona nahin chaahte.