Kaaynaat hai wo

Chaandni se roshni,
roshni se chaandni,
do rang hain uske,
do libaas hai wo pehnti,

shabnam ki boond si,
dupehr ki dhoop si,
aankhe kholte hai wo,
to kaliyaan mehakti,

shaam ke aasman ko
karti hai surkh wo
apne chehre ki laaliyon se,
hawaa ke saaj pe,
likhti hai geet wo,
dhanak dhanak kar
apne kaan ki baaliyon se,

udaati hai hawa
apne aanchal se,
banati hai badal
aasman mein apni
ungliyon se,

kehti nahin hai,
shaayd khud bhi
jaanti nahin hai,

maine poocha hai
fiza se, hawa se
nadi se, phaad se,
jheel se, jharne se,
ped se, patte se,
lehron se, kinaaron se,
mausam se, bhaaron se,
rangon se, nazaron se,
phoolon se, taaron se,

tilism hai wo,
jaadu hai wo,
koi dekh sakhe
jo dekh sakta ho to
wo ikk ladki nahin,
kaaynaat hai wo.

Tu yaara aur abhi angdaaiyan le le

Suraj ka kaam hai chamkana,
dharti ke uthne se pehle,
baadlon ka kaam hai barasna,
faslon ke pakne se pehle,
chanda ka kaam hai chamkana,
taaron ke niklne se pehle,

main karta hoon tere kaam saare,
tu yaara aur abhi angdaaiyan le le.
main karta hoon intezaam saare,
tu yaara aur abhi jamhaaian le le.

we want to talk

Stop the tick tock,
break the clocks,
we want to talk,
we want to talk

Give us a break,
and some space,
we want to talk,
we want to talk

relieve us from duty,
spare us for a day,
let us be together,
hey don't take us away,
we want to talk,
we want to talk

eyes want to talk,
hearts want to talk,
don't block, get out of the way
stay away stay away,
we want to talk,
we want to talk

hey hey hey clocks
don't tick don't tock
I would fight the gods,
I would spin
the earth backwards
stop stop stop
we want to talk

we want to talk....