Bewajah sakhtiyaan kartaa hoon dil par

Bewajah sakhtiyaan kartaa hoon dil par,
jaane kyon tujhse hi door rehta hoon,
jabke khush rehta hoon tujhse milkar.

Har raat tum mere sapno mein ho,
maangta hoon har duaa tum mere apno mein ho,
phir na jaane kabhi kabhi kya ho jaata,
keh deta hoon itne kareeb naa aao dilbar,
Bewajah sakhtiyaan kartaa hoon dil par...

badi ajeeb si har ghadi rehti kashmkash hai,
sochtaa hoon tere baare mein dil pe na rehta bas hai,
par phir agle hi pal par peeche kheeck leta hoon,
door tujhse tujhse hi jaise dar kar,
Bewajah sakhtiyaan kartaa hoon dil par...

Ye meri chaahat sach badi hi ajeeb hai,
hona chaahe door jiske rehna chahta kareeb hai,
shaayd mujhe kahin ye dar jiyunga kaise,
tum jo chale gaye chod mujhe kabhi rooth kar,
Bewajah sakhtiyaan kartaa hoon dil par..