Jeevan ke is maahabhart mein

Jeevan ke is maahabhart mein,
mujhe akele hi chalna hoga,
paandav to phir paanch the,
par mujh akele abhimanyu ko hi,
sab kaurvon ko khuchalana hoga,
jeevan ke is maahabhart mein...

Dhanush ke naam pe hai paas mere,
bass lakdi ki ek khappachi si,
jis pe kasi hui hai dor koi,
patli si daage si kacchi si,
bass isi se hi sab ko dalna hoga,
jeevan ke is maahabhart mein...

Hai apna nahin koi Krishan saarthi,
jo har duvidaa mein samjhaa sake,
jo karan koi maha shoorvir aaye saamne,
to use mere hit ke liye niptaa sake,
mujhe sab kuch swayam hi karna hoga,
jeevan ke is maahabhart mein...

par main sochoon maine kya khoyaa hai,
par main sochoon mujhe kya paana hai,
to dil kehta hai ke kisi aur ke kahe
karte hain kuch to paate abhi daana hain,
tumhe is bandhan ko tod nikalna hoga,
jeevan ke is maahabhart mein...