Yaar tum kitni baatein karti ho

Yaar tum kitni baatein karti ho,
yaar tum bilkul bhi na thakkti ho,
kitna kehta hoon thoda kamm bola karo,
par tum jara amal na karti ho,
yaar tum kitni baatein karti ho...

Aaj tumhaare office mein kya hua?
kyon ro rahi rhi thi akeli Mrs Dua,
mujhe inn sabb baato se kya lena,
tum mujhse ye sab baatein kyon karti ho,
yaar tum kitni baatein karti ho...

Parson tumne mujhse kya kaha thaa,
10 tareek ko main late kyon huaa thaa,
mujhe nahin rehta yaad kitna kuch,
tum mujhse aise swaal kyon karti ho,
yaar tum kitni baatein karti ho...

Aur khud se Jo karti rehti ho baatein,
phir un sab pe tumhaari mujhse swaalatein,
sach main to pareshan ho gaya hoon,
aur tum bhi pareshan si rehti ho,
yaar tum kitni baatein karti ho...

Maine tumhaari ab takk lakh suni hai,
kabhi ek bhi gayi nahin unsuni hai,
tum meri ek sun lo aur maan lo,
jaada nahin thoda sa hi kam kar lo,
yaar tum kitni baatein karti ho....