Baatcheet nahin to ye to nahin
ke tera khyaal bhi nahin,
Sach maan sir ke ek hisse ki zameen
teri fikar mein hai banjar hui.
Ab ke jab kabhi phir milenge
to main ye daawa kartaa hoon,
tumko milke lagega ek do lamho
se jaada apne beech doori nahin,
baatcheet nahin to ye to nahin...
Ye to galat hamne soch ko dhaal rakha
jo pass hai bas wahi hai apna,
kabhi dekho dharti aur chaand sitaaron ko
ke roshni kahan se kahan chal rahi,
baatcheet nahin to ye to nahin...
Ye zindgi hai kya karein aise hi chalti
kisi ka ispe koi bas kahan,
na chaahte huae dhoop mein nikalna padta,
warnaa chaaon kisko pyaari nahin,
baatcheet nahin to ye to nahin...