Koi dharam ho koi mazhab ho,
sab mein kuch baatein btaa di jaati hain,
agar koi baat pooch lo,
agar koi swaal pooch lo,
na farmaani ki takhti gale mein latkaa di jaati hai,
bauhat dekha bauht saha,
phir aakhir jhunjhlaakar maine
use hi dharam bnaa liya,
jis mein kehte hain khoob socho,
Jis mein kehte hain khoob poocho,
nahin sahi lagta to mat maano,
paigambar galat ho sakte hain,
aur agar tum kuch batlaaoge nayi raah to sab us par chal sakte hain,
granth badal sakte hain,
Kitna accha majhab mera ye,
jis mein sacch badal sakte hain,
naye waqt ke saath nayi raah ghad sakte hain,
meri jeevan dhanya huaa jo mujhe iska saath huaa,
he Vigyaan main to tera daas hua.