Kehne ko uski zameen, kehne ko uska aasman

Kehne ko uski zameen, kehne ko uska aasman,
par ye shajar ko pata uska kuch bhi naa,

kehne ko wo aazaad, kehne ko uspe koi bandish naa,
par ye shajar ko pata wo kahin jaa sakta naa,

kehne ko uske paas panchi, kehne ko uske saath musaafir,
par ye shajar ko pata koi ikk raat bhi rukega naa,

kehne ko wo jeevan waayu daata, kehne ko wo jagg ka vidhata,
par ye shajar ko pata jo aan padi to katega.

Anjaam se anjaan naa hoon

Anjaam se anjaan naa hoon,
par mere paas hai hi kya jo main daroon,

laakh chaahe ab jaljale aayein,
main to pehle se hi sookhi banzar zameen hoon,
anjaam se anjaan naa hoon...

kya fikar karni ke koi kuch le jaayega,
sadiyon purana veeran khandar hoon,
anjaam se anjaan naa hoon...

Aur ab ye khauf bhi kahan ke jo toofan aaya,
bin patton bin shaakhon ka shajar hoon,
anjaam se anjaan naa hoon...

Bekhauf befikar khaabon mein jee raha,
laash hoon kya farak kabar ke bahar ya andar hoon,
anjaam se anjaan naa hoon...

Kisi ko Zameen nahin milti, Kisi ko aasman nahin milta

Kisi ko Zameen nahin milti, Kisi ko aasman nahin milta,
duniaa mein Kisi ko mukammal jahan nahin milta,

Hum hain badnaseeb aur bhi, humne dono khoye hain,
tabhi hum mein zindgi ka naamo nishasn nahin milta,
 
Shaamo ko naa hai wasal yaar e gull kaa,
subhon ko jo rooh ko sukoon de wo kaam nahin milta,

ksimat mein hai apne dar badar bhatakna,
aur kahin do pal rukk bhi jaayein to bhi aaram nahin milta,

Har baar daon lagaata hoon haar jaata hoon,
takdeer to khoti thi hi thi tabdeer se bhi koi kaam nahin banta