Koi baniye ki dukaan nahin hai

Har ek baat pe sochte ho,
ke is mein kya faayda hai,

sab faayda hi hai na,
kahin kuch nuksaan to nahin hai,

are itna mat gabraaya karo,
zar zindgi ko khull ke jiyo,

ye zindgi hai zindgi hai,
koi baniye ki dukaan nahin hai.