Dedicated to Baba Bulleh Shah, trying to conjure what his state and thoughts might be when Inaayat shah disowned and abandoned him...
Kashish e yaar jehan se jaati nahin,
tujhe bhool jaaon wo subah aati nahin,
ye khumar ye khumar badta hi jaa raha,
chaahe maye ab pyaale mein baaki nahin,
teri inaayat se huae hain bande se qalandar,
teri berukhi bhi ab dil dukhaati nahin,
main sajde karta rehta hoon jaise too saamne,
jaane tere takk koi aati bhi ke nahin,
main gaz gaz zameen ka dhoondunga tumhein,
mujhe safar ki phikar koi staati nahin,
jo roothe ho to phir se mnaa loonga,
mnaane ki tarteeb chaahe mujhe aati nahin,
main tumhaara aur tum phir se mere,
ab maksad-e-manzil koi aur meri hyaati nahin.