Dukhi rehna jinki ban gayi aadat ho

Woh khush nahin reh sakte
unko chaahe mil jaaye jo,
bewajah dukhi rehna
jinki ban gayi aadat ho.

Na wahaan mere dil ko chain thaa, na yahaan mere jee ko kraar hai

Na wahaan mere dil ko chain thaa,
na yahaan mere jee ko kraar hai,
jaayein to jaayein kis taraf
jeena har taraf dushwaar hai,

wahaan the to hizar ke laakhon
gird noch noch khaate the,
yahan hai to nafrat ke funeyar
chalate dank baar baar hain,
na wahaan mere dil ko chain thaa,
na yahaan mere jee ko kraar hai...

bauhat umeed ke saath fenktaa hoon
paase ke ab ke jeet hogi,
par shakuni niyati ne likhi hui
har ek akeli chaal pe haar hai,
Na wahaan mere dil ko chain thaa,
na yahaan mere jee ko kraar hai...

kab aayi shab kab subaah ho gayi,
kuch khyaal takk nahin rehta,
sab mausam ho gaye ek se,
kya pathjad kya bahar hai,
Na wahaan mere dil ko chain thaa,
na yahaan mere jee ko kraar hai...

Chalo aur na dil ko dukhaayein,
ab safar bas thoda hi bacha hai,
aur siyaane log ye bhi kehte hain,
jagg pe aata har koi bas ikk bar hai,
Na wahaan mere dil ko chain thaa,
na yahaan mere jee ko kraar hai...

Galti ki jo tumko khuda keh baitha

Galti ki jo tumko khuda keh baitha,
na uski koi khabar na tumhara koi pata.

Koi ikk shakas

Koi ikk shakas tumko
umar bhar paaglon sa chaahta rahe,
kabhi tumne khuda se ye maanga hoga,

aur mujhko teri yaad
har pal har din har lamhaa aaye,
us din usne mera ye muqqadar likha hoga.