Ikk tum hi to mehroom nahin,yar-e-hamdam se

Ikk tum hi to mehroom nahin,yar-e-hamdam se,
yahan aur bhi buahat hain do chaar is gam se,

tune to sirf chaah ke naa paaya hai, kuch hain ke haathon mein haath lekin judaa man se,

wo jo apnaa naa huaa yaakeenan  staata hai,
par jaada nahin milke bichadne ke sitam se,

tune awaaz di aur laut ke koi sada naa aai,
jo sun naa sake diwaaron ke chalte pocch haal unse,

so mat kaho ikk tumpe hi bas buri guzri,
buri hoti hai kya jo mite ishq mein pooch unse.