Soorat-e-yaar dekhein ya seerat-e-yaar dekhein

Soorat-e-yaar dekhein ya seerat-e-yaar dekhein,
jo bhi dekhein kmaal hi kmaal dekhein,
aur in aankhon ko kuch dekhne ki chaah nahin,
dekhne to bas har waqt tera hi jamaal dekhein.

Naqsh kami na ratti bhar, lafz lafz baat gauhar,
hasin koylon ki aahat, chaal aur bhi manohar,
aankhon mein samandar, khushboo saanson ke andar,
kabhi tujhe dekhein kabhi apna haal dekhein,
soorat-e-yaar dekhein ya seerat-e-yaar dekhein...

Kehne mein ada, geet si uski har sada,
asar har baat mein, fakir ki jaise duaa,
ishaaron pe bahaar, muthi mein kaayanaat,
chaand taare kehne pe uske chalte chaal dekhein,
soorat-e-yaar dekhein ya seerat-e-yaar dekhein...

Buton ko jaan de, neem sa kadwa kar mishthaan de,
dastaan e pariyon ka, jahan pe imkaan de,
razdan bhool badshahi ban ke jogin phirein,
dooniya ko hota hum haal o behaaal dekhein,
soorat-e-yaar dekhein ya seerat-e-yaar dekhein...

aur bin piye sab soofiyon ko chadi jaaye,
masti pal pal aur se aur hoti gehri jaaye,
kaafir huae bhool rasta ibaadat khaano kaa,
kehte hain aao chal ke banda-e-jama-e-yaar dekhein,
Soorat-e-yaar dekhein ya seerat-e-yaar dekhein...