Tum ko vote chaahiye to le jaao,
sarkaar bnaao, aish farmaao, paisa khaao,
par yahan meri gali mere mohalle mein,
desh bhakti ka dong na rchaao,
ye hum dono acchi tarah jaante hain,
kahin na kahin dil se ye maante hain,
ke watan kya hai watanprasti kya hai,
aur ye sirf wo shaksh jaanta hai jo seema ke
us paar aane waali goli ke aage seena taanta hai,
jo siachin ki thand mein binaa kisi moh ke
watan ki rakhwaali ko dharam maanta hai,
tum ho sake sacch ko sabh ke saamne laao,
jo lahoo bhaa gaye mitti ki khaatir unki jai gaao,
agar nahin hota tumse sach kaa gaan ton,
apni jhooth ki gaatha ka yoon na gungaan gaao.
Ikk shaaheed ka ghar hai mohalle ke aakhir mein,
uska beta sota nahin raat bhar deskh ki fikar mein,
aur usko ye maaloom ho gaya hai
baahar ke bjaaye andhar se desh ko khatra jaada hai,
kahin tum uske aakrosh ki bhent na chad jaao,
Tum ko vote chaahiye to le jaao,
sarkaar bnaao, aish farmaao, paisa khaao,
par yahan meri gali mere mohalle mein,
desh bhakti ka dong na rchaao....