ke yeh mera yakeen hai ke shaayar ab tak kuwaara hi hoga

kabhi kabhi mujhe lagtaa hai yoon,
ke apna toh izhaar-e-mohabbat kuch is taraah hoga,
ke 15-20 baras baad chapegi koi kitaab meri,
aur do chaar sheyar padhne ke baad hi,
shohar uska usse puchega,
ke tumhein kya lagtaa hai oh meri hamnafaz,
ke yeh jiski kitaab hai,
kya woh shaayar ab bhi kuwaara hoga?
aur woh phir har baar ki taraanh,
chaaye ka apna pyaala mej par rakhte huae,
anmane se man se kitaab utaayegi,
par is baar paayegi,
kitaab ke pehle panne par naam mera,
aur naam mere ke neeche shehar hum dono ka,
aur phir sochegi,ke mujhe mere,
jis gumnaam aashiq ka kissa koi roj sunaaya jaata tha,
yakeenan hi yeh wahi hoga,
aur pehli baar phir us ke labon se niklegi mere leye dua,
ke ae khuda is aahiq mizaaz, rooh-e-mohabbat ka khaayal rakhana,
aur umeed karti hoon ke iske saath,
ab tak jo bhi hua hoga achha hi hua hoga,
aur uske ke jawaab ka intezaar karte haue,
apne shohar ko kitaab thmaate huae,
chaaye ko dono pyaale uthaakar jaate huae kahegi usse,
ke yeh mera yakeen hai ke shaayar ab tak kuwaara hi hoga.

1 comment: