Tum apni jagah theek ho, hum apni jagah theek hain

Tum apni jagah theek ho,
hum apni jagah theek hain,
parbhat bhi hain jahan mein,
maidan bhi hai jahan mein,
aur kitna kuch jaane inke beech hai,
tum khush rehto ho ke,
sainani tumhaare paas,
chuttiyon mein waqt bitaane aate hain,
hum khush hain ke,
kisaan hmaara seena cheerkar bota beej hai,
Tum apni jagah theek ho,
hum apni jagah theek hain.

Mitti mein se nikalta sona,
loha aur jaane kya kya,
tum khush raho ke tum ho swarn,
jisko rakhta har koi sambhaal,
hum khush ke hain hum hain loha,
piglaa ke jisko bnaaya gaya hathoda,
kartaa jo aaj kal chot lgaa kar,
shramik ke aujaar theek hai,
Tum apni jagah theek ho,
hum apni jagah theek hain.

Hai insaan jahan mein har tarah ke,
khuch chu ke lot aaye hain,
chaand ko jaane kitni baar,
kuch ulje hue hain dharti pe hi itne,
ke nahin waqt jaayein gaaon takk se baahr,
tumne li hai duniyaa ghoom, bauhat khoob,
hum khush hain ke hmaare kadmon ko,
gaaon ki har ek gali se doosri gali takk,
rasta so feesdi pata theek hai,
Tum apni jagah theek ho,
hum apni jagah theek hain.

Niyati ko main bhi
tumhaari tarah maanta nahin,
jitni chaahat jitna parishram karta,
pata hai har koi utna hi,
tum khush raho ke tumne kitna kmaaya hai,
tumne kya kya zindgi mein paaya hai,
hum khush hain ke gujaara hota hai,
swaabhimaan khokar kisi se maangi,
nahin kabhi aaj takk bheekh hai,
Tum apni jagah theek ho,
hum apni jagah theek hain.

No comments:

Post a Comment