Dolat se bhi badke hai kuch,
Shohrat se bhi badke hai kuch,
ek cheez aisi jiske saamne sab tuch,
uska naam hai sukoon uska naam hai sukoon.
Shohrat se bhi badke hai kuch,
ek cheez aisi jiske saamne sab tuch,
uska naam hai sukoon uska naam hai sukoon.
Har jeet se bhi badke kuch,
Vijay geet se bhi badke kuch,
ek cheez aisi jiske saamne sab tuch,
uska naam hai junoon uska naam hai junoon.
Vijay geet se bhi badke kuch,
ek cheez aisi jiske saamne sab tuch,
uska naam hai junoon uska naam hai junoon.
Zindgi se bhi hai badke kuch,
Maut bhi jiske liye keemat na kuch,
ek cheez aisi jiske saamne sab tuch,
uska naam hai aabru, uska naam hai aabru.
Maut bhi jiske liye keemat na kuch,
ek cheez aisi jiske saamne sab tuch,
uska naam hai aabru, uska naam hai aabru.
Mandir se bhi badke hai kuch,
Masjid se bhi badke hai kuch,
ek cheez jiske saamne hai sab tuch,
wo hai bande tu, wo hai bande tu.
Masjid se bhi badke hai kuch,
ek cheez jiske saamne hai sab tuch,
wo hai bande tu, wo hai bande tu.
No comments:
Post a Comment