Jheel ke kinaare ab koi na pukaare

Jheel ke kinaare ab koi na pukaare,
jahan chalti thi khushboo si hwaaein,
ab wahaan barste hain angaare,
jheel ke kinaare ab koi na pukaare....

Koyal ki kook ka sangeet na raha,
hwaayein jo gaati thi waadi mein wo geet na raha,
khaali kahde hain barson se shikaare,
Jheel ke kinaare ab koi na pukaare....

Thandi thandi baraf ke neeche aag hai,
sardi ke mausam mein bhi jal rahi raat hai,
gum hain jaane kab se aasman se sitaare,
Jheel ke kinaare ab koi na pukaare....

Jis taraf bhi jaao har taraf pehra hai,
dharti ke swarg ka kaisa zard ye chehra hai,
tu khaabon ke raste aakhon mein aaja re,
Jheel ke kinaare ab koi na pukaare....

No comments:

Post a Comment