Dost aur Dushman

Doston se seekhe aib jo,
unke liye saja paa raha hoon,
Dushmano se ranjh is kadar,
aage badhtaa jaa raha hoon,
tum bhi socho batihe ke jara,
kon kitnaa zindgi mein jaroroi,
main bhi hisaab lgaa raha hoon.

Rishta

Kabhi kisi se rishta is neeyat se na rakhiye,
ke tumhe unki jaroorat hai,
rishtaa rakhiye is khyaal-e-uns se,
ke uska saath hai to zindgi khoobsurat hai.

Jakham

Iss Jakhakm ko waqt ke hwaale kar do,
waqt apne aap marharam karke bhar dega,
tum na iske baare mein socho na iski dawa karo,
jitni koshish karoge ye utna aur dard dega.

Dukhi rehna jinki ban gayi aadat ho

Woh khush nahin reh sakte
unko chaahe mil jaaye jo,
bewajah dukhi rehna
jinki ban gayi aadat ho.

Na wahaan mere dil ko chain thaa, na yahaan mere jee ko kraar hai

Na wahaan mere dil ko chain thaa,
na yahaan mere jee ko kraar hai,
jaayein to jaayein kis taraf
jeena har taraf dushwaar hai,

wahaan the to hizar ke laakhon
gird noch noch khaate the,
yahan hai to nafrat ke funeyar
chalate dank baar baar hain,
na wahaan mere dil ko chain thaa,
na yahaan mere jee ko kraar hai...

bauhat umeed ke saath fenktaa hoon
paase ke ab ke jeet hogi,
par shakuni niyati ne likhi hui
har ek akeli chaal pe haar hai,
Na wahaan mere dil ko chain thaa,
na yahaan mere jee ko kraar hai...

kab aayi shab kab subaah ho gayi,
kuch khyaal takk nahin rehta,
sab mausam ho gaye ek se,
kya pathjad kya bahar hai,
Na wahaan mere dil ko chain thaa,
na yahaan mere jee ko kraar hai...

Chalo aur na dil ko dukhaayein,
ab safar bas thoda hi bacha hai,
aur siyaane log ye bhi kehte hain,
jagg pe aata har koi bas ikk bar hai,
Na wahaan mere dil ko chain thaa,
na yahaan mere jee ko kraar hai...

Galti ki jo tumko khuda keh baitha

Galti ki jo tumko khuda keh baitha,
na uski koi khabar na tumhara koi pata.

Koi ikk shakas

Koi ikk shakas tumko
umar bhar paaglon sa chaahta rahe,
kabhi tumne khuda se ye maanga hoga,

aur mujhko teri yaad
har pal har din har lamhaa aaye,
us din usne mera ye muqqadar likha hoga.

Rasme duniyaa

Ye jo rasme duniyaa hai
humse nibhaayi nahin jaati,
jisse mila nahin dil uske liye
rivaayat ke naam pe bhi,
kasmein utthaayi nahin jaati,
ye jo rasme duniyaa hai
humse nibhaayi nahin jaati.

Log yoon kehte hain
jo apne se upar hain,
unki galat mein bhi haan bharo,
humse nahak kisi ke saamne
gardan jhukaayi nahin jaati,
ye jo rasme duniyaa hai
humse nibhaayi nahin jaati.

main chaahta hoon jo bhi karun
us mein paseene ke saath
apni rooh bhi daal doon
chand sikkon ke liye humse
beman subaah lgaayi nahin jaati,
ye jo rasme duniyaa hai
humse nibhaayi nahin jaati.

Ke woh ab hai gair ka,
ke unhe tumse chaahat nahin,
tum bhi unse waasta tod do,
haaye ye beparwahi, bedili ke evaz
humse nafrat lotaayi nahin jaati,
ye jo rasme duniyaa hai
humse nibhaayi nahin jaati.

Just two things

Life is very simple,
just two things,
not less not more,

don't do yourself,
what you won't
like to tell your mother,


don't ask others to do
what you won't
ask from your brother.