Rasme duniyaa

Ye jo rasme duniyaa hai
humse nibhaayi nahin jaati,
jisse mila nahin dil uske liye
rivaayat ke naam pe bhi,
kasmein utthaayi nahin jaati,
ye jo rasme duniyaa hai
humse nibhaayi nahin jaati.

Log yoon kehte hain
jo apne se upar hain,
unki galat mein bhi haan bharo,
humse nahak kisi ke saamne
gardan jhukaayi nahin jaati,
ye jo rasme duniyaa hai
humse nibhaayi nahin jaati.

main chaahta hoon jo bhi karun
us mein paseene ke saath
apni rooh bhi daal doon
chand sikkon ke liye humse
beman subaah lgaayi nahin jaati,
ye jo rasme duniyaa hai
humse nibhaayi nahin jaati.

Ke woh ab hai gair ka,
ke unhe tumse chaahat nahin,
tum bhi unse waasta tod do,
haaye ye beparwahi, bedili ke evaz
humse nafrat lotaayi nahin jaati,
ye jo rasme duniyaa hai
humse nibhaayi nahin jaati.

No comments:

Post a Comment