Main saari fikar, main saare gam,
sab pareshaanian, sab uljhan,
sab se riha ho jaata hoon,
main jab un ki sohbat paata hoon.
Main ikk thake haare parinde sa,
Jo aaya ho khol darwaaja pinjre ka,
phir udne phir gaane lagta hoon,
un mansarovar ke paaniyon mein
jab nhaa aata hoon,
main saari phikar, main saare gam..
Main kisi peer ki majhaar pe hoon jaise,
main apni sarkar ke ghar hoon jaise,
ikk hajj si lagta hai ho gayi jaise,
sajjde mein jab unko sar jhukaa aata hoon,
main saari phikar, main saare gam..
Kuch paana nahin aur jagg se mujhe,
Kuch de nahin sakta aur jagg ab mujhe,
bas ab to jagg chaahe jo maang le mujhse,
itna bhara bhara sa khud ko paata hoon,
main saari phikar, main saare gam...
sab pareshaanian, sab uljhan,
sab se riha ho jaata hoon,
main jab un ki sohbat paata hoon.
Main ikk thake haare parinde sa,
Jo aaya ho khol darwaaja pinjre ka,
phir udne phir gaane lagta hoon,
un mansarovar ke paaniyon mein
jab nhaa aata hoon,
main saari phikar, main saare gam..
Main kisi peer ki majhaar pe hoon jaise,
main apni sarkar ke ghar hoon jaise,
ikk hajj si lagta hai ho gayi jaise,
sajjde mein jab unko sar jhukaa aata hoon,
main saari phikar, main saare gam..
Kuch paana nahin aur jagg se mujhe,
Kuch de nahin sakta aur jagg ab mujhe,
bas ab to jagg chaahe jo maang le mujhse,
itna bhara bhara sa khud ko paata hoon,
main saari phikar, main saare gam...
No comments:
Post a Comment