Jugalbandi transcript (my side)

Written on the spot during a jugalbandi with Ashutosh

Kitaabein jo main aksar hi padhta rehta hoon,
us tajurbe ke hwaale se tumhein ye kheta hoon,
Jaroori nahin saari kitaab hi khraab ho,
Kya pata ho age khushi ikk panna aur palat lo.


Wo jo dhoondta phire koi aur wo aisa hai hi nahin,
wo mar to jaayega par kise aur ka hoke jeeyega nahin.

Kisi ki yaad mein jhumte chale jaate hain,
kisi ke pyaar mein roj nagme gaate hain,
wo humdum mera, wo humsafar mera,
zindgi hum to usi ke khayaal mein bitaate hain.

Maine duaa maangi thi jo wo kabool ho gayi,
meri chaahat aaj uske dar pe maqbool ho gayi,
har lamha lamha ab to ikk nayi zindgi hai,
hyaat kya baatein ikk khilta hua phool ho gayi.

Main usko jeet laaya hoon kismat ko hraa ke,
saare zmaane ko apna dushman bnaa ke,
accha hua jo rabb nahin aaya hmaare beech,
warna wo bhi jaata apni khudaai gwaa ke.

Wo jis se chaah thi inti ki pal bhi na hatti thi nazar,
waqt ne yoon kar diye faansle us ke haal se bhi bekhabar.

No comments:

Post a Comment