Ae waqt ye bulandi aur ye honsla de

Ae waqt ye bulandi aur ye honsla de,
kabhi koi musibat humein jhukaa na sake,
jaan jaaye to jaaye parwaah nahin,
aankh mein aansu kuch bhi laa na sake,
Ae waqt ye bulandi aur ye honsla de..

Niklein jo kabhi talaash mein, chalte chalein,
raste ki kisi msuhkil se na hum talein,
dharti hile aur phir chaahe ambar gire,
pair hmaare kuch bhi dagmgaa na sake,
Ae waqt ye bulandi aur ye honsla de..

saamne se aa jaayein chaahe jitne bhi,
naa parwah ho ke koi saath hai ke nahin,
har har mahadev ka naara ho hothon pe,
aur mere baaju kahein aa parakh le,
Ae waqt ye bulandi aur ye honsla de..

Mar mitne ke liye hum sada hi amaada,
aan se humko kuch bhi na pyaara jaada,
baat aaye jo to sab kurbaan kar chalein,
par daag is ke daaman pe naa aane de,
Ae waqt ye bulandi aur ye honsla de..

No comments:

Post a Comment