Door hota hoon, to itna door ho jaata hoon

Door hota hoon,
to itna door ho jaata hoon,
bilkul toot hi jaata hoon,

paas hota hoon,
to itna paas aa jaata hoon,
rooh mein utar jaata hoon,

aur dono hi soorton mein,
chot padti hai rishton ke dhaage pe,
karta hoon galat jaanta hoon,

par faansla rakh ke,
kaise saath saath chalte hain,
ye hisaab kabhi sahi se lgaa hi naa paata hoon,

aur maslahat zindgi hai ke,
tootna judna, milna bichadna,
har ghadi, har waqt yahi khel iska,

to phir kaise nibhaayi jaaye,
binaa kisi kaa dil dukhaaye,
binaa kisi shikve, binaa kisi mlaal,

door ho ke bhi paas,
paas ho ke bhi door,
qurbat mein doori, doori mein qurbat,

ye is ajab se khel mein,
kuch kadam aage, kuch kadam peeche,
ajeeb si chaal kabhi sahi se chal hi naa paata hoon.

bas swaal hi swaal,
unsulji gutthian hi gutthian mere jehn mein,
jin mein ulajtaa rehta hoon,
jinko suljaa hi naa paata hoon,

Door hota hoon,
to itna door ho jaata hoon....
–------------------------------------------------------
Door hota hai,
to itna door chala jaata hai,
bilkul toot hi jaata hai,

paas hota hai,
to itna paas aa jaata hai,
rooh mein utar jaata hai,

rishton mein kaise chalte hain,
faansla rakh ke saath saath,
usko ye hisaab abhi takk naa aata hai.

No comments:

Post a Comment