Chaandni se roshni,
roshni se chaandni,
do rang hain uske,
do libaas hai wo pehnti,
shabnam ki boond si,
dupehr ki dhoop si,
aankhe kholte hai wo,
to kaliyaan mehakti,
shaam ke aasman ko
karti hai surkh wo
apne chehre ki laaliyon se,
hawaa ke saaj pe,
likhti hai geet wo,
dhanak dhanak kar
apne kaan ki baaliyon se,
udaati hai hawa
apne aanchal se,
banati hai badal
aasman mein apni
ungliyon se,
kehti nahin hai,
shaayd khud bhi
jaanti nahin hai,
maine poocha hai
fiza se, hawa se
nadi se, phaad se,
jheel se, jharne se,
ped se, patte se,
lehron se, kinaaron se,
mausam se, bhaaron se,
rangon se, nazaron se,
phoolon se, taaron se,
tilism hai wo,
jaadu hai wo,
koi dekh sakhe
jo dekh sakta ho to
wo ikk ladki nahin,
kaaynaat hai wo.
roshni se chaandni,
do rang hain uske,
do libaas hai wo pehnti,
shabnam ki boond si,
dupehr ki dhoop si,
aankhe kholte hai wo,
to kaliyaan mehakti,
shaam ke aasman ko
karti hai surkh wo
apne chehre ki laaliyon se,
hawaa ke saaj pe,
likhti hai geet wo,
dhanak dhanak kar
apne kaan ki baaliyon se,
udaati hai hawa
apne aanchal se,
banati hai badal
aasman mein apni
ungliyon se,
kehti nahin hai,
shaayd khud bhi
jaanti nahin hai,
maine poocha hai
fiza se, hawa se
nadi se, phaad se,
jheel se, jharne se,
ped se, patte se,
lehron se, kinaaron se,
mausam se, bhaaron se,
rangon se, nazaron se,
phoolon se, taaron se,
tilism hai wo,
jaadu hai wo,
koi dekh sakhe
jo dekh sakta ho to
wo ikk ladki nahin,
kaaynaat hai wo.
No comments:
Post a Comment